chhanw piti hai dhup khati hai
chhāñv piitī hai dhuup khātī hai
shab sadā kī chuḌail jaatī hai
ik sitāre pe aan baiThe haiñ
haath meñ chāñd kī chapātī hai
aur kuchh ho na ho zamāne meñ
ek daa.im sī be-sabātī hai
mere dukh-dard go zamīnī haiñ
merī tanhā.ī kā.enātī hai
jhiil ko tairnā nahīñ aatā
apne paanī meñ Duub jaatī hai
dekh kar ghar kī hālat-e-ḳhasta
merī tasvīr muskurātī hai
ek nalkī mahīn dhāge kī
dast-e-ḳhayyāt ko ghumātī hai
jīne-marne se baaz aate nahīñ
apnī fitrat hī vārdātī hai
zindagī kitnī achchhī teacher hai
zindagī bhar sabaq sikhātī hai
ab parindoñ ko kaun samjhā.e
shāḳh-e-chhitnār kaT bhī jaatī hai
chalne lagtā hai rāsta mujh meñ
merī bachchī qadam uThātī hai
ab to hone se kuchh nahīñ hotā
ab to honā bhī nafsiyātī hai
dast-e-tārīḳh se nikalte hī
jang zehnoñ meñ phail jaatī hai
aate aate bhī shā.irī 'nāsir'
ik zamāne ke ba.ad aatī hai
chhanw piti hai dhup khati hai
shab sada ki chuDail jati hai
ek sitare pe aan baiThe hain
hath mein chand ki chapati hai
aur kuchh ho na ho zamane mein
ek daim si be-sabaati hai
mere dukh-dard go zamini hain
meri tanhai kaenati hai
jhil ko tairna nahin aata
apne pani mein Dub jati hai
dekh kar ghar ki haalat-e-KHasta
meri taswir muskuraati hai
ek nalki mahin dhage ki
dast-e-KHayyat ko ghumati hai
jine-marne se baz aate nahin
apni fitrat hi wardati hai
zindagi kitni achchhi teacher hai
zindagi bhar sabaq sikhati hai
ab parindon ko kaun samjhae
shaKH-e-chhitnar kaT bhi jati hai
chalne lagta hai rasta mujh mein
meri bachchi qadam uThati hai
ab to hone se kuchh nahin hota
ab to hona bhi nafsiyati hai
dast-e-tariKH se nikalte hi
jang zehnon mein phail jati hai
aate aate bhi shairi 'nasir'
ek zamane ke baad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.