chhajje hain saeban hain aage baDhe hue
chhajje haiñ sā.ebān haiñ aage baḌhe hue
galiyoñ ke sab makān haiñ aage baḌhe hue
pasmāndgī avaam ke pīchhe paḌī huī
do-chār ḳhāndān haiñ aage baḌhe hue
rasta to ruk gayā hai sar-e-manzil-e-gumāñ
qadmoñ ke kuchh nishān haiñ aage baḌhe hue
gherā huā hai chāroñ taraf se zamīn ko
had se ye āsmān haiñ aage baḌhe hue
ḳhud chal ke aa gayā hai nishāna qarīb-tar
hairat se dīd-bān haiñ aage baḌhe hue
pīchhe kamān-dār pareshān hai bahut
palTan ke kuchh javān haiñ aage baḌhe hue
aayā huuñ dostoñ se mulāqāt ke liye
kyoñ tiir aur kamān haiñ aage baḌhe hue
aatā nahīñ shikār shikārī ke sāmne
jañgal se kuchh machān haiñ aage baḌhe hue
miTTī ke sab zurūf haiñ pīchhe rakhe hue
shīshe ke martabān haiñ aage baḌhe hue
chhajje hain saeban hain aage baDhe hue
galiyon ke sab makan hain aage baDhe hue
pasmandgi awam ke pichhe paDi hui
do-chaar KHandan hain aage baDhe hue
rasta to ruk gaya hai sar-e-manzil-e-guman
qadmon ke kuchh nishan hain aage baDhe hue
ghera hua hai chaaron taraf se zamin ko
had se ye aasman hain aage baDhe hue
KHud chal ke aa gaya hai nishana qarib-tar
hairat se did-ban hain aage baDhe hue
pichhe kaman-dar pareshan hai bahut
palTan ke kuchh jawan hain aage baDhe hue
aaya hun doston se mulaqat ke liye
kyon tir aur kaman hain aage baDhe hue
aata nahin shikar shikari ke samne
jangal se kuchh machan hain aage baDhe hue
miTTi ke sab zuruf hain pichhe rakhe hue
shishe ke martaban hain aage baDhe hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.