chhalawa ho pari ho hur ho mahshar-laqa tum ho
chhalawa ho pari ho hur ho mahshar-laqa tum ho
Piyare Lal Raunaq Dehlwi
MORE BYPiyare Lal Raunaq Dehlwi
chhalāvā ho parī ho huur ho mahshar-laqā tum ho
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ḳhudā jaane ki kyā tum ho
sarāpā naaz ho rashk-e-parī ho mah-laqā tum ho
faroġh-e-rū-e-'ālam ho tajallī ho ziyā tum ho
kahīñ ho tāzgī-e-gul kahīñ bād-e-sabā tum ho
mirī jaañ gulshan-e-husn-o-javānī kī fazā tum ho
sarāpā ġhamza-o-shoḳhī-o-andāz-o-adā tum ho
kabhī teġh-e-do-paikar ho kabhī tīr-e-qazā tum ho
khiche abrū chaḌhī chitvan ġhazab badle hue tevar
ba-shakl-e-ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhvār 'āshiq kī qazā tum ho
dam-e-raftār saa.e se bhī apne bach ke chalte ho
uḌā rakkhā hai shoḳhī ne ki pāband-e-hayā tum ho
sañbhālo hosh Thero phir uThānā haath meñ ḳhanjar
laḌakpan hai bahut kamsin abhī nām-e-ḳhudā tum ho
phañse ho kis ġhazab meñ hazrat-e-dil kyā qayāmat hai
asīr-e-zulf-e-pechāñ ho giraftār-e-balā tum ho
hamāre dil meñ tum aur ham tumhāre dil meñ rahte haiñ
na kuchh tum se judā ham haiñ na kuchh ham se judā tum ho
nikal kar ab kahāñ jāoge dil se aarzū ho kar
mirī hasrat mirā armān merā mudda'ā tum ho
mukar jaate ho dil le kar zarā ġhairat nahīñ aatī
baḌe dam-bāz ho jhūTe ho matlab-āshnā tum ho
sunā jab zikr chāhat kā to yuuñ andām se bole
yahī sūrat hai mere chāhne vāloñ meñ kyā tum ho
tumhārā hī tumhārā har rag-o-resha meñ jalva hai
nazar meñ jaan meñ āñkhoñ meñ dil meñ jā-ba-jā tum ho
chhalawa ho pari ho hur ho mahshar-laqa tum ho
samajh mein kuchh nahin aata KHuda jaane ki kya tum ho
sarapa naz ho rashk-e-pari ho mah-laqa tum ho
farogh-e-ru-e-'alam ho tajalli ho ziya tum ho
kahin ho tazgi-e-gul kahin baad-e-saba tum ho
meri jaan gulshan-e-husn-o-jawani ki faza tum ho
sarapa ghamza-o-shoKHi-o-andaz-o-ada tum ho
kabhi tegh-e-do-paikar ho kabhi tir-e-qaza tum ho
khiche abru chaDhi chitwan ghazab badle hue tewar
ba-shakl-e-KHanjar-e-KHun-KHwar 'ashiq ki qaza tum ho
dam-e-raftar sae se bhi apne bach ke chalte ho
uDa rakkha hai shoKHi ne ki paband-e-haya tum ho
sanbhaalo hosh Thero phir uThana hath mein KHanjar
laDakpan hai bahut kamsin abhi nam-e-KHuda tum ho
phanse ho kis ghazab mein hazrat-e-dil kya qayamat hai
asir-e-zulf-e-pechan ho giraftar-e-bala tum ho
hamare dil mein tum aur hum tumhaare dil mein rahte hain
na kuchh tum se juda hum hain na kuchh hum se juda tum ho
nikal kar ab kahan jaoge dil se aarzu ho kar
meri hasrat mera arman mera mudda'a tum ho
mukar jate ho dil le kar zara ghairat nahin aati
baDe dam-baz ho jhuTe ho matlab-ashna tum ho
suna jab zikr chahat ka to yun andam se bole
yahi surat hai mere chahne walon mein kya tum ho
tumhaara hi tumhaara har rag-o-resha mein jalwa hai
nazar mein jaan mein aankhon mein dil mein ja-ba-ja tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.