chhape hain aap ki azmat ke ishtihaar bahut
chhape haiñ aap kī 'azmat ke ishtihār bahut
phañseñge jaal meñ merī tarah shikār bahut
ḳhabar hai in dinoñ bāzār bhaao achchhā hai
uThān par hai zamīroñ kā kārobār bahut
ye zindagī hai yahāñ milnā aur bichhaḌnā kyā
mileñge ham ko bhī dilbar tumheñ bhī yaar bahut
thā mahv-e-ḳhvāb añdheroñ kī god meñ kab se
jagā ke mujh ko ujāle haiñ sharmsār bahut
gunāh kahte the tum hī to ḳhūn-e-nāhaq ko
tumhāre qaul pe ham ko thā e'tibār bahut
hameñ kisī kī hukūmat se kyā ġharaz 'fārūq'
ye shahr-e-dil hai yahāñ apnā eqtidār bahut
chhape hain aap ki 'azmat ke ishtihaar bahut
phansenge jal mein meri tarah shikar bahut
KHabar hai in dinon bazar bhao achchha hai
uThan par hai zamiron ka karobar bahut
ye zindagi hai yahan milna aur bichhaDna kya
milenge hum ko bhi dilbar tumhein bhi yar bahut
tha mahw-e-KHwab andheron ki god mein kab se
jaga ke mujh ko ujale hain sharmsar bahut
gunah kahte the tum hi to KHun-e-nahaq ko
tumhaare qaul pe hum ko tha e'tibar bahut
hamein kisi ki hukumat se kya gharaz 'faruq'
ye shahr-e-dil hai yahan apna eqtidar bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.