chhat na hum par koi giri sahab
chhat na ham par koī girī sāhab
koī ne.amat hai be-gharī sāhab
dekhne ko kahīñ nahīñ hai kuchh
āñkhoñ par gard jam ga.ī sāhab
kabhī afsar bhī banñā paḌtā hai
ek ye bhī hai naukrī sāhab
ghup añdhere meñ bhī chalī aa.ī
raushnī raushnī rahī sāhab
is meñ dīvār kī ḳhatā kyā hai
girne vaalī thī gir ga.ī sāhab
vaqt se aage jā rahā thā maiñ
maiñ ne dekhī nahīñ ghaḌī sāhab
ek arsa paḌī rahī be-kār
thī jo ik chiiz kaam kī sāhab
ġhaur se dekhtā huuñ aadmī ko
muTThī bhar ḳhaak rah ga.ī sāhab
nazar aa.ī hazār chehroñ meñ
koī sūrat thī vājibī sāhab
chhat na hum par koi giri sahab
koi neamat hai be-ghari sahab
dekhne ko kahin nahin hai kuchh
aankhon par gard jam gai sahab
kabhi afsar bhi banna paDta hai
ek ye bhi hai naukri sahab
ghup andhere mein bhi chali aai
raushni raushni rahi sahab
is mein diwar ki KHata kya hai
girne wali thi gir gai sahab
waqt se aage ja raha tha main
main ne dekhi nahin ghaDi sahab
ek arsa paDi rahi be-kar
thi jo ek chiz kaam ki sahab
ghaur se dekhta hun aadmi ko
muTThi bhar KHak rah gai sahab
nazar aai hazar chehron mein
koi surat thi wajibi sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.