chhaTa ghubar to aankhon mein bhar gaya pani
chhaTā ġhubār to āñkhoñ meñ bhar gayā paanī
zarā sī der meñ sar se guzar gayā paanī
na thā ḳhayāl ki chhat bhī hai āsmāñ jaisī
taḌap rahe the ki jaane kidhar gayā paanī
laboñ pe harf-e-duā raakh ho gayā lekin
diloñ meñ zaḳhm kī sūrat utar gayā paanī
ik e'tibār sī dīvār-e-āb hai har-sū
mire vajūd ko zanjīr kar gayā paanī
vo bhīgā jism vo pairāhan-e-hayā kī shafaq
phir ik gulāb ko shādāb kar gayā paanī
chhaTa ghubar to aankhon mein bhar gaya pani
zara si der mein sar se guzar gaya pani
na tha KHayal ki chhat bhi hai aasman jaisi
taDap rahe the ki jaane kidhar gaya pani
labon pe harf-e-dua rakh ho gaya lekin
dilon mein zaKHm ki surat utar gaya pani
ek e'tibar si diwar-e-ab hai har-su
mere wajud ko zanjir kar gaya pani
wo bhiga jism wo pairahan-e-haya ki shafaq
phir ek gulab ko shadab kar gaya pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.