chhaten uDi hain daraDen paDen makanon mein
chhateñ uḌī haiñ darāḌeñ paḌeñ makānoñ meñ
sitam kī ghaas ugī hai nigār ḳhānoñ meñ
lahū lahū thā badan us kā haath TuuTe the
hinā hinā vo pukārī thī āstānoñ meñ
gharoñ meñ aaj vo karb-o-balā kā manzar thā
ki sahme sahme parinde the āshiyānoñ meñ
vo jin ke naam pe nikleñgī kal kī ta.abīreñ
kiye haiñ ḳhvāb muqaffal vo qaid ḳhānoñ meñ
vo jis kā vaar muassar thā zarb kaarī thī
khaḌā huā thā vo qātil bhī pāsbānoñ meñ
zamīñ pe zulm bahut hai ḳhudā se kah dete
guzar hamārā agar hotā āsmānoñ meñ
chhaten uDi hain daraDen paDen makanon mein
sitam ki ghas ugi hai nigar KHanon mein
lahu lahu tha badan us ka hath TuTe the
hina hina wo pukari thi aastanon mein
gharon mein aaj wo karb-o-bala ka manzar tha
ki sahme sahme parinde the aashiyanon mein
wo jin ke nam pe niklengi kal ki tabiren
kiye hain KHwab muqaffal wo qaid KHanon mein
wo jis ka war muassar tha zarb kari thi
khaDa hua tha wo qatil bhi pasbanon mein
zamin pe zulm bahut hai KHuda se kah dete
guzar hamara agar hota aasmanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.