chhe dinon daftar si duniya chand ye itwar log
chhe dinoñ daftar sī duniyā chand ye itvār log
shā'irī hai chaa.e bhī hai aur kuchh dildār log
aap ham se pūchhte haiñ kyā kamāyā aap ne
zindagī bhar kī kamā.ī haiñ yahī do chaar log
jang khul kar ho rahī hai aur us par faḳhr bhī
aaj bhī chhup-chhup ke lekin kar rahe haiñ pyaar log
ham shikāyat kar raheñ haiñ ye jahāñ bekār hai
haiñ nahīñ sach pūchhiye to is ke bhī haqdār log
saath achchhe dost hoñ to jhel leñge dard bhī
ban ga.e par dost mere ek do makkār log
jo kabhī rasta huā karte the sab ke vāste
chand logoñ ke sabab se ho ga.e dīvār log
ham to ḳhud duniyā kī bastī ke satā.e log haiñ
kyā kisī kā dil dukhā.eñge re ham fankār log
maiñ likhā kartā thā pahle sirf apne vāste
ek jaise ġham the to sunñe lage ash'ār log
chhe dinon daftar si duniya chand ye itwar log
sha'iri hai chae bhi hai aur kuchh dildar log
aap hum se puchhte hain kya kamaya aap ne
zindagi bhar ki kamai hain yahi do chaar log
jang khul kar ho rahi hai aur us par faKHr bhi
aaj bhi chhup-chhup ke lekin kar rahe hain pyar log
hum shikayat kar rahen hain ye jahan bekar hai
hain nahin sach puchhiye to is ke bhi haqdar log
sath achchhe dost hon to jhel lenge dard bhi
ban gae par dost mere ek do makkar log
jo kabhi rasta hua karte the sab ke waste
chand logon ke sabab se ho gae diwar log
hum to KHud duniya ki basti ke satae log hain
kya kisi ka dil dukhaenge re hum fankar log
main likha karta tha pahle sirf apne waste
ek jaise gham the to sunne lage ash'ar log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.