chheD den gar qissa-e-gham sham se
chheḌ deñ gar qissa-e-ġham shaam se
ki raheñge sub.h tak ārām se
chāhiye ham ko ki bedārī rahe
āshnā huuñ hashr se anjām se
jo bulātā thā vo shaḳhs ab jā chukā
kaam apnā dekhiye ārām se
pā ga.e ham be-gunāhī kī sazā
bach ga.e sau baar ke ilzām se
kaT rahī hai zindagī ab dasht meñ
ham ko kyā matlab rahā hukkām se
kyā ḳhabar tujh ko ki kitnā ro.e ham
chhūT kar sayyād tere daam se
bazm meñ 'farhat' baḌe nāshād the
muñh pe raunaq aa ga.ī ik naam se
chheD den gar qissa-e-gham sham se
ki rahenge subh tak aaram se
chahiye hum ko ki bedari rahe
aashna hun hashr se anjam se
jo bulata tha wo shaKHs ab ja chuka
kaam apna dekhiye aaram se
pa gae hum be-gunahi ki saza
bach gae sau bar ke ilzam se
kaT rahi hai zindagi ab dasht mein
hum ko kya matlab raha hukkaam se
kya KHabar tujh ko ki kitna roe hum
chhuT kar sayyaad tere dam se
bazm mein 'farhat' baDe nashad the
munh pe raunaq aa gai ek nam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.