chheDa hai naya naghma hayat-e-abadi ne
chheḌā hai nayā naġhma hayāt-e-abadī ne
is baar tabassum na kiyā sun ke kalī ne
lafzoñ meñ utarne kā hunar siikh rahā huuñ
ḳhatre meñ haiñ alfāz ke sīnoñ meñ dafīne
vo haiñ ki bhaTakte haiñ abhī pyaas ke maare
ham haiñ ki Dubo aa.e sarāboñ meñ safīne
suntā huuñ taḌapte hue paanī kā faqat shor
hassās banāyā hai mujhe tishna-labī ne
aflāk ke manzar haiñ mire sāmne uryāñ
baḳhshī ye bulandī mujhe be-bāl-o-parī ne
shādāb nazar aate haiñ ashjār har ik samt
kyā shahr meñ jañgal kī havā laa.ī kisī ne
pahlū meñ dhaḌaktā hai taḌaptā hai shab-o-roz
bechain kiye rakkhā hai mujh ko mire jī ne
jo rāste jaate haiñ tire arsh kī jānib
vo raste bhī dikhlā.e mujhe dar-ba-darī ne
chheDa hai naya naghma hayat-e-abadi ne
is bar tabassum na kiya sun ke kali ne
lafzon mein utarne ka hunar sikh raha hun
KHatre mein hain alfaz ke sinon mein dafine
wo hain ki bhaTakte hain abhi pyas ke mare
hum hain ki Dubo aae sarabon mein safine
sunta hun taDapte hue pani ka faqat shor
hassas banaya hai mujhe tishna-labi ne
aflak ke manzar hain mere samne uryan
baKHshi ye bulandi mujhe be-baal-o-pari ne
shadab nazar aate hain ashjar har ek samt
kya shahr mein jangal ki hawa lai kisi ne
pahlu mein dhaDakta hai taDapta hai shab-o-roz
bechain kiye rakkha hai mujh ko mere ji ne
jo raste jate hain tere arsh ki jaanib
wo raste bhi dikhlae mujhe dar-ba-dari ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.