chheDa hi kyon hawa-e-rah-e-ku-e-yar ne
chheḌā hī kyoñ havā-e-rah-e-kū-e-yār ne
andher kar diyā mirī musht-e-ġhubār ne
ik aḳhgar-e-jamāl farozāñ ba-shakl-e-dil
pheñkā idhar bhī husn-e-tajalli-nisār ne
afsurdagī bhī husn hai tābindagī bhī husn
ham ko ḳhizāñ ne tum ko sañvārā bahār ne
is dil ko shauq-e-dīd meñ taḌpā ke kar diyā
kyā ustuvār va.ada-e-nā-ustuvār ne
jalve kī bhiik de ke vo haTne lage the ḳhud
dāman pakaḌ liyā nigah-e-e'tibār ne
gesū ġhubār-e-rāh-e-tamannā se aT na jaa.eñ
sahrā meñ aap nikle haiñ ham ko pukārne
mujh ko chunā hai bahr-e-sitam-hā-e-iltifāt
chashm-e-jafā-shi.ār-o-vafā-e.atibār ne
baḳhshī haiñ is ḳhudī ko pa-e-imtihān-e-zarf
parvardigāriyāñ mire parvardigār ne
kab se kiyā hai bāñdh ke ehrām-e-be-ḳhudī
merā tavāf gardish-e-lail-o-nahār ne
himmat pe merī pyaar se umDā hai qalb-e-bahr
dho.e haiñ paañv girya-e-abr-e-bahār ne
sahn-e-majāz meñ ba-hazārāñ-hazār naaz
khelī hai mujh se āñkh-michaulī bahār ne
dī hai nazar ko dāvat-e-bos-o-mas-o-kanār
kaliyoñ ke husn-e-pāk-e-gunah-intizār ne
chandeñ hazār ālam-e-āshuftagī ba-dosh
utrā hai naaz ḳhud mire gesū sañvārne
is jām-e-dil ko apnī hathelī pe le ke ḳhud
chhalkā diyā hai sāqī-e-kausar-nisār ne
rashk-e-duī se vus.at-e-āġhosh kar ke tang
bhīñchā hai mujh ko vahdat-e-kasrat-shikār ne
jalvoñ ne raqs-e-nāz kiyā hai mire huzūr
parde uThā uThā diye haiñ parda-dār ne
āġhosh-e-chūn-o-chand se jhuñjhlā ke ek baar
chhīnā mujhe hameshgī-e-be-kanār ne
maiñ kāfir-e-majāz-parast-e-haq-āshnā
samjhā kahāñ kahāñ se sadā dī hai yaar ne
dīvāna-vār kufr ko īmāñ kiye hue
dauḌā to saath chhoḌ diyā e.atibār ne
chheDa hi kyon hawa-e-rah-e-ku-e-yar ne
andher kar diya meri musht-e-ghubar ne
ek aKHgar-e-jamal farozan ba-shakl-e-dil
phenka idhar bhi husn-e-tajalli-nisar ne
afsurdagi bhi husn hai tabindagi bhi husn
hum ko KHizan ne tum ko sanwara bahaar ne
is dil ko shauq-e-did mein taDpa ke kar diya
kya ustuwar wada-e-na-ustuwar ne
jalwe ki bhik de ke wo haTne lage the KHud
daman pakaD liya nigah-e-e'tibar ne
gesu ghubar-e-rah-e-tamanna se aT na jaen
sahra mein aap nikle hain hum ko pukarne
mujh ko chuna hai bahr-e-sitam-ha-e-iltifat
chashm-e-jafa-shiar-o-wafa-eatibar ne
baKHshi hain is KHudi ko pa-e-imtihan-e-zarf
parwardigariyan mere parwardigar ne
kab se kiya hai bandh ke ehram-e-be-KHudi
mera tawaf gardish-e-lail-o-nahaar ne
himmat pe meri pyar se umDa hai qalb-e-bahr
dhoe hain panw girya-e-abr-e-bahaar ne
sahn-e-majaz mein ba-hazaran-hazar naz
kheli hai mujh se aankh-michauli bahaar ne
di hai nazar ko dawat-e-bos-o-mas-o-kanar
kaliyon ke husn-e-pak-e-gunah-intizar ne
chanden hazar aalam-e-ashuftagi ba-dosh
utra hai naz KHud mere gesu sanwarne
is jam-e-dil ko apni hatheli pe le ke KHud
chhalka diya hai saqi-e-kausar-nisar ne
rashk-e-dui se wusat-e-aghosh kar ke tang
bhincha hai mujh ko wahdat-e-kasrat-shikar ne
jalwon ne raqs-e-naz kiya hai mere huzur
parde uTha uTha diye hain parda-dar ne
aaghosh-e-chun-o-chand se jhunjhla ke ek bar
chhina mujhe hameshgi-e-be-kanar ne
main kafir-e-majaz-parast-e-haq-ashna
samjha kahan kahan se sada di hai yar ne
diwana-war kufr ko iman kiye hue
dauDa to sath chhoD diya eatibar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.