chheDi bhi jo rasm-o-rah ki baat
chheḌī bhī jo rasm-o-rāh kī baat
vo sun na sake nigāh kī baat
har-lahza badal rahe haiñ hālāt
mujh se na karo nibāh kī baat
kahte haiñ tirī mizha ke taare
ḳhud merī shab-e-siyāh kī baat
ab hai vo nigah na vo tabassum
kuchh aur thī gaah gaah kī baat
kyā yaad na aa.egā ye anjām
kis dil se kareñge chaah kī baat
chheDi bhi jo rasm-o-rah ki baat
wo sun na sake nigah ki baat
har-lahza badal rahe hain haalat
mujh se na karo nibah ki baat
kahte hain teri mizha ke tare
KHud meri shab-e-siyah ki baat
ab hai wo nigah na wo tabassum
kuchh aur thi gah gah ki baat
kya yaad na aaega ye anjam
kis dil se karenge chah ki baat
- Book : Noquush (Pg. B-359 E373)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.