Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chheDiye saz-e-zindagi naghma-nawaz ho na ho

Hayat Amrohvi

chheDiye saz-e-zindagi naghma-nawaz ho na ho

Hayat Amrohvi

MORE BYHayat Amrohvi

    chheḌiye sāz-e-zindagī naġhma-navāz ho na ho

    aah to kar ke dekhiye soz meñ saaz ho na ho

    dekhiye qābil-e-qubull apnī namāz ho na ho

    sajda to kar jabīn-e-shauq dar-gah-e-nāz ho na ho

    pīr-e-muġhāñ ke naam par saaqī har ik ko mast kar

    aaj ke baad saal bhar mai-kadā-bāz ho na ho

    zabt-e-ġham vufūr-e-shauq aur dil-e-nā-subūr-e-ishq

    mujh ko to hai ġhurūr-e-ishq aap ko naaz ho na ho

    mast fazā bahār mast mast 'hayāt' yaar mast

    mast ho baar baar mast hukm-e-javāz ho na ho

    chheDiye saz-e-zindagi naghma-nawaz ho na ho

    aah to kar ke dekhiye soz mein saz ho na ho

    dekhiye qabil-e-qubull apni namaz ho na ho

    sajda to kar jabin-e-shauq dar-gah-e-naz ho na ho

    pir-e-mughan ke nam par saqi har ek ko mast kar

    aaj ke baad sal bhar mai-kada-baz ho na ho

    zabt-e-gham wufur-e-shauq aur dil-e-na-subur-e-ishq

    mujh ko to hai ghurur-e-ishq aap ko naz ho na ho

    mast faza bahaar mast mast 'hayat' yar mast

    mast ho bar bar mast hukm-e-jawaz ho na ho

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now