chhiDi hai jang musalsal meri ana ke sath
chhiḌī hai jang musalsal mirī anā ke saath
maiñ apnī vaz.a pe qaa.em rahūñ baqā ke saath
mirī jilau meñ añdherā qayām kartā hai
ki merā rābta achchhā nahīñ diyā ke saath
kisī ne apnī samā.at kā dar nahīñ kholā
burā sulūk huā hai mirī sadā ke saath
bachā ke kār-e-ġhalat se na rakh sakā ḳhud ko
vafā.eñ kartā rahā maiñ bhī bevafā ke saath
ye ab khulā vo bharam thā mirī nigāhoñ kā
ki chal paḌā maiñ kisī ġhair-āshnā ke saath
chhiDi hai jang musalsal meri ana ke sath
main apni waza pe qaem rahun baqa ke sath
meri jilau mein andhera qayam karta hai
ki mera rabta achchha nahin diya ke sath
kisi ne apni samaat ka dar nahin khola
bura suluk hua hai meri sada ke sath
bacha ke kar-e-ghalat se na rakh saka KHud ko
wafaen karta raha main bhi bewafa ke sath
ye ab khula wo bharam tha meri nigahon ka
ki chal paDa main kisi ghair-ashna ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.