chhoD aae wo chashm-e-tar tanha
chhoḌ aa.e vo chashm-e-tar tanhā
ab samundar hai aur safar tanhā
saḳht mushkil hai ham-ḳhayālī bhī
maiñ idhar aur vo udhar tanhā
ek sūraj ke intizār meñ hai
ik sitāra dam-e-sahar tanhā
ik safar kaT gayā tumhāre saath
aur ik rah gayā safar tanhā
bhiiḌ meñ rāsta nahīñ miltā
shahr aisā ki har bashar tanhā
aaj ghar meñ nahīñ hai koī bhī
aaj dekhūñgā rah ke ghar tanhā
chhoD aae wo chashm-e-tar tanha
ab samundar hai aur safar tanha
saKHt mushkil hai ham-KHayali bhi
main idhar aur wo udhar tanha
ek suraj ke intizar mein hai
ek sitara dam-e-sahar tanha
ek safar kaT gaya tumhaare sath
aur ek rah gaya safar tanha
bhiD mein rasta nahin milta
shahr aisa ki har bashar tanha
aaj ghar mein nahin hai koi bhi
aaj dekhunga rah ke ghar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.