chhoD aaya main use wo phir akela rah gaya
chhoḌ aaya maiñ use vo phir akelā rah gayā
gaañv meñ būḌhā pitā āḳhir akelā rah gayā
sab bajā kar tāliyāñ circus se hañs kar ghar ga.e
dekhte hī dekhte sāhir akelā rah gayā
pyaar ke bāzār meñ bolī diloñ kī lag ga.ī
bik ga.e saste mirā nādir akelā rah gayā
bhakt tere pūjte haiñ tujh ko devī maan kar
sab pe terā dhyān hai kāfir akelā rah gayā
maz.habī bātoñ ke pīchhe bhaa.ī bhaa.ī laḌ rahe
masjideñ tanhā huiiñ mandir akelā rah gayā
chhoD aaya main use wo phir akela rah gaya
ganw mein buDha pita aaKHir akela rah gaya
sab baja kar taliyan circus se hans kar ghar gae
dekhte hi dekhte sahir akela rah gaya
pyar ke bazar mein boli dilon ki lag gai
bik gae saste mera nadir akela rah gaya
bhakt tere pujte hain tujh ko dewi man kar
sab pe tera dhyan hai kafir akela rah gaya
mazhabi baaton ke pichhe bhai bhai laD rahe
masjiden tanha huin mandir akela rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.