chhoD de aasan rasta zindagi dushwar kar
chhoḌ de āsān rasta zindagī dushvār kar
jis taraf dariyā chaḌhā ho us taraf se paar kar
Duub kar kashtī kabhī ubhrī nahīñ pātāl se
jītnā mumkin nahīñ hotā hai ḳhud ko haar kar
phir nazar ā.eñge aglī manziloñ ke pech-o-ḳham
dekh paanī meñ utar kar haath ko patvār kar
tishnagī vīrāñ darīche muflisī āh-o-bukā
ai amīr-e-shahr is manzar kā bhī dīdār kar
chhoD de aasan rasta zindagi dushwar kar
jis taraf dariya chaDha ho us taraf se par kar
Dub kar kashti kabhi ubhri nahin patal se
jitna mumkin nahin hota hai KHud ko haar kar
phir nazar aaenge agli manzilon ke pech-o-KHam
dekh pani mein utar kar hath ko patwar kar
tishnagi viran dariche muflisi aah-o-buka
ai amir-e-shahr is manzar ka bhi didar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.