chhoD de ai dil mohabbat ka KHayal achchha nahin
chhoḌ de ai dil mohabbat kā ḳhayāl achchhā nahīñ
kaam achchhā hai magar is kā ma.aal achchhā nahīñ
un se jo kahnā hai ai dil kah samajh kar soch kar
ye bhī kuchh kahne meñ kahnā hai ki haal achchhā nahīñ
ai dil-e-barbād ab ham se gila be-sūd hai
ham to kahte the mohabbat kā ma.aal achchhā nahīñ
hañs rahā huuñ is liye apne dil-e-barbād par
ek mohsin kī ināyat par malāl achchhā nahīñ
duur duur un se rahe ham ḳhud ġhurūr-e-ishq meñ
kaun ab un se kahe jā kar ki haal achchhā nahīñ
dil kī ḳhātir hī kiyā thā tark-e-ulfat kā ḳhayāl
dil hī ab kahtā hai mujh se ye ḳhayāl achchhā nahīñ
abr bhī merī tarah rotā hī rahtā hai mudām
us ke bhī tāle.a meñ shāyad koī saal achchhā nahīñ
hai talab tujh ko to phir husn-e-talab se kaam le
lab pe aa jaa.e agar harf-e-savāl achchhā nahīñ
kyā kahūñ 'sāhir' ki ab kaisā zamāna aa gayā
dushmanī kyā dostī kā bhī ma.aal achchhā nahīñ
chhoD de ai dil mohabbat ka KHayal achchha nahin
kaam achchha hai magar is ka maal achchha nahin
un se jo kahna hai ai dil kah samajh kar soch kar
ye bhi kuchh kahne mein kahna hai ki haal achchha nahin
ai dil-e-barbaad ab hum se gila be-sud hai
hum to kahte the mohabbat ka maal achchha nahin
hans raha hun is liye apne dil-e-barbaad par
ek mohsin ki inayat par malal achchha nahin
dur dur un se rahe hum KHud ghurur-e-ishq mein
kaun ab un se kahe ja kar ki haal achchha nahin
dil ki KHatir hi kiya tha tark-e-ulfat ka KHayal
dil hi ab kahta hai mujh se ye KHayal achchha nahin
abr bhi meri tarah rota hi rahta hai mudam
us ke bhi talea mein shayad koi sal achchha nahin
hai talab tujh ko to phir husn-e-talab se kaam le
lab pe aa jae agar harf-e-sawal achchha nahin
kya kahun 'sahir' ki ab kaisa zamana aa gaya
dushmani kya dosti ka bhi maal achchha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.