chhoD de karb-e-ana mauja-e-pur-KHam banna
chhoḌ de karb-e-anā mauja-e-pur-ḳham banñā
zindagī siikh ga.ī gesū-e-barham banñā
kyā koī aur tasarruf na thā us kā mumkin
kaisī miTTī ke muqaddar meñ thā aadam banñā
haañ ḳhamīr ek hī darkār hai donoñ ke liye
chashm-e-jānāñ ho ki paimāna-e-zamzam banñā
mudda.ī marham-e-har-zaḳhm ke hone vaale
aa gayā raas tujhe kyā ġham-e-ālam banñā
har sañvartī huī taqdīr hai māthe pe shikan
har ubhartī huī tasvīr ko mub.ham banñā
aur bhī dahke raho dahke raho dahke raho
aa hī jā.egā kabhī phuul pe shabnam banñā
kyoñ mujhe yaad dilātā hai azal ke din kī
merī sūrat kā tire zehn meñ kam-kam banñā
har tabassum rahā marhūn-e-fuġhāñ kā 'hairat'
har masarrat ko paḌā bār-gah-e-ġham banñā
chhoD de karb-e-ana mauja-e-pur-KHam banna
zindagi sikh gai gesu-e-barham banna
kya koi aur tasarruf na tha us ka mumkin
kaisi miTTi ke muqaddar mein tha aadam banna
han KHamir ek hi darkar hai donon ke liye
chashm-e-jaanan ho ki paimana-e-zamzam banna
muddai marham-e-har-zaKHm ke hone wale
aa gaya ras tujhe kya gham-e-alam banna
har sanwarti hui taqdir hai mathe pe shikan
har ubharti hui taswir ko mubham banna
aur bhi dahke raho dahke raho dahke raho
aa hi jaega kabhi phul pe shabnam banna
kyon mujhe yaad dilata hai azal ke din ki
meri surat ka tere zehn mein kam-kam banna
har tabassum raha marhun-e-fughan ka 'hairat'
har masarrat ko paDa bar-gah-e-gham banna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.