chhoD de KHwab mein ab KHwab ki tabir mein aa
chhoḌ de ḳhvāb meñ ab ḳhvāb kī ta.abīr meñ aa
mere mahbūb-e-suḳhan aa mirī tahrīr meñ aa
aa maiñ samjhā.ūñ tujhe qātil-o-maqtūl meñ farq
ai mire dost kabhī vādī-e-kashmīr meñ aa
merā dil kahtā hai maqtal se nikal jaane ko
aur hālāt ye kahte haiñ zad-e-tīr meñ aa
kab talak tanhā laTaktā rahūñ dīvār pe maiñ
saath dene ko mirā tū merī tasvīr meñ aa
aise andāz-e-aziyyat tujhe hogā bhī nahīñ
tū mire saath qafas meñ mirī zanjīr meñ aa
chhoD de KHwab mein ab KHwab ki tabir mein aa
mere mahbub-e-suKHan aa meri tahrir mein aa
aa main samjhaun tujhe qatil-o-maqtul mein farq
ai mere dost kabhi wadi-e-kashmir mein aa
mera dil kahta hai maqtal se nikal jaane ko
aur haalat ye kahte hain zad-e-tir mein aa
kab talak tanha laTakta rahun diwar pe main
sath dene ko mera tu meri taswir mein aa
aise andaz-e-aziyyat tujhe hoga bhi nahin
tu mere sath qafas mein meri zanjir mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.