chhoD de mar lat duniya ko
chhoḌ de maar laat duniyā ko
kuchh nahīñ hai sabāt duniyā ko
haath aa.ī hai jis ko daulat-e-faqr
un ne maarī hai laat duniyā ko
zāl-e-duniyā hī sā hai vo bad-zāt
jo kahe nek-zāt duniyā ko
dām-e-ulfat meñ sab ko khīñche hai
aa ga.ī hai ye ghaat duniyā ko
pusht-e-pā maare masnad-e-jam par
jo lagā.e na haath duniyā ko
tū jo martā hai us par ai 'joshish'
le gayā koī saath duniyā ko
chhoD de mar lat duniya ko
kuchh nahin hai sabaat duniya ko
hath aai hai jis ko daulat-e-faqr
un ne mari hai lat duniya ko
zal-e-duniya hi sa hai wo bad-zat
jo kahe nek-zat duniya ko
dam-e-ulfat mein sab ko khinche hai
aa gai hai ye ghat duniya ko
pusht-e-pa mare masnad-e-jam par
jo lagae na hath duniya ko
tu jo marta hai us par ai 'joshish'
le gaya koi sath duniya ko
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.