chhoḌ de sochnā batā.iye naañ
kyā hai mushkil 'duā' batā.iye naañ
dil meñ jab aap hī to rahte haiñ
dard-e-dil kī davā batā.iye naañ
ratjagoñ kī mujhe milī huī kab
ḳhatm hogī sazā batā.iye naañ
zard pattoñ ke haath kāñpte haiñ
hai december chalā batā.iye naañ
merī tasvīr taaza rakkheñgī
merī sūrat-numā batā.iye naañ
kaaT saktī hai raushnī kī kiran
kyā añdherā 'duā' batā.iye naañ
chhoD de sochna bataiye nan
kya hai mushkil 'dua' bataiye nan
dil mein jab aap hi to rahte hain
dard-e-dil ki dawa bataiye nan
ratjagon ki mujhe mili hui kab
KHatm hogi saza bataiye nan
zard patton ke hath kanpte hain
hai december chala bataiye nan
meri taswir taza rakkhengi
meri surat-numa bataiye nan
kaT sakti hai raushni ki kiran
kya andhera 'dua' bataiye nan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.