chhoD kar ghar-bar apna hasrat-e-didar mein
chhoḌ kar ghar-bār apnā hasrat-e-dīdār meñ
ik tamāsha ban ke aa baiThā huuñ kū-e-yār meñ
dam nikal jā.egā hasrat se na dekh ai nāḳhudā
ab mirī qismat pe kashtī chhoḌ de mañjdhār meñ
dekh bhī aa baat kahne ke liye ho jā.egī
sirf gintī kī haiñ sāñseñ ab tire bīmār meñ
fasl-e-gul meñ kis qadar manhūs hai ronā mirā
maiñ ne jab naale kiye bijlī girī gulzār meñ
jal gayā merā nasheman ye to maiñ ne sun liyā
bāġhbāñ to ḳhairiyat se hai sabā gulzār meñ
chhoD kar ghar-bar apna hasrat-e-didar mein
ek tamasha ban ke aa baiTha hun ku-e-yar mein
dam nikal jaega hasrat se na dekh ai naKHuda
ab meri qismat pe kashti chhoD de manjdhaar mein
dekh bhi aa baat kahne ke liye ho jaegi
sirf ginti ki hain sansen ab tere bimar mein
fasl-e-gul mein kis qadar manhus hai rona mera
main ne jab nale kiye bijli giri gulzar mein
jal gaya mera nasheman ye to main ne sun liya
baghban to KHairiyat se hai saba gulzar mein
- Book : Auj-Qamar (Pg. 83)
- Author : Ustad Sayed Mohd. Hussain Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat Ali And Sons (1952)
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.