chhoD kar jannat jidhar bhi hazrat-e-adam gae
chhoḌ kar jannat jidhar bhī hazrat-e-ādam ga.e
saath saath un ke hazāroñ kārvān-e-ġham ga.e
rafta-rafta jab mirī āñkhoñ par aañsū jam ga.e
yuuñ lagā jaise musāfir manziloñ par tham ga.e
be-sabātī par tū jin ke raat bhar giryāñ rahī
phuul kab ke vo chaman se dekh ai shabnam ga.e
mai-kada vīrān sāġhar sar-nigūñ saaqī udaas
zindagī se ab surūr-o-kaif ke 'ālam ga.e
agle vaqtoñ kī kahāñ ab rah ga.iiñ bāteñ huzūr
husn kī sāda-mizājī 'ishq ke dam-ḳham ga.e
anjuman kī anjuman tasvīr ban kar rah ga.ī
is adā se aaj un kī anjuman meñ ham ga.e
rah ga.ī ab chilchilātī dhuup nafrat kī 'kañval'
chāñdnī rāteñ ga.iiñ vo pyaar ke mausam ga.e
chhoD kar jannat jidhar bhi hazrat-e-adam gae
sath sath un ke hazaron karwan-e-gham gae
rafta-rafta jab meri aankhon par aansu jam gae
yun laga jaise musafir manzilon par tham gae
be-sabaati par tu jin ke raat bhar giryan rahi
phul kab ke wo chaman se dekh ai shabnam gae
mai-kada viran saghar sar-nigun saqi udas
zindagi se ab surur-o-kaif ke 'alam gae
agle waqton ki kahan ab rah gain baaten huzur
husn ki sada-mizaji 'ishq ke dam-KHam gae
anjuman ki anjuman taswir ban kar rah gai
is ada se aaj un ki anjuman mein hum gae
rah gai ab chilchilati dhup nafrat ki 'kanwal'
chandni raaten gain wo pyar ke mausam gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.