chhoD kar KHud ko aap ka hona
chhoḌ kar ḳhud ko aap kā honā
yaar mushkil hai bevafā honā
baad rone ke aisā lagtā hai
jaise zindān se rihā honā
aap se dostī kā matlab hai
ḳhaak hone kā hausla honā
kyoñ kisī se maiñ bandagī chāhūñ
merī aadat nahīñ ḳhudā honā
ajnabī tere bas kī baat nahīñ
ham faqīroñ se āshnā honā
aaj hī us ne baat kī mujh se
aaj samjhā maiñ mo.ajiza honā
ham bhī 'vāqif' kahāñ ke achchhe haiñ
Thiik hai shaiḳh kā burā honā
chhoD kar KHud ko aap ka hona
yar mushkil hai bewafa hona
baad rone ke aisa lagta hai
jaise zindan se riha hona
aap se dosti ka matlab hai
KHak hone ka hausla hona
kyon kisi se main bandagi chahun
meri aadat nahin KHuda hona
ajnabi tere bas ki baat nahin
hum faqiron se aashna hona
aaj hi us ne baat ki mujh se
aaj samjha main moajiza hona
hum bhi 'waqif' kahan ke achchhe hain
Thik hai shaiKH ka bura hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.