chhoD kar teri miTTi kidhar jaenge
chhoḌ kar terī miTTī kidhar jā.eñge
ai vatan tujh meñ ik din bikhar jā.eñge
duur rah kar jahāñ se guzar jā.eñge
ghar jo aa jaao tum to Thahar jā.eñge
yuuñ na bikhro zarā hausla to rakho
dukh bhare din kabhī to guzar jā.eñge
bhej kar kuchh raqam būḌhe maañ baap ko
qarz kyā parvarish ke utar jā.eñge
kitnī muddat se ghar ko sajāte ho tum
sirf do din ko hī bachche ghar jā.eñge
us kī nazar-e-ināyat hai har shaḳhs par
din hamāre bhī shāyad sañvar jā.eñge
chhoD kar teri miTTi kidhar jaenge
ai watan tujh mein ek din bikhar jaenge
dur rah kar jahan se guzar jaenge
ghar jo aa jao tum to Thahar jaenge
yun na bikhro zara hausla to rakho
dukh bhare din kabhi to guzar jaenge
bhej kar kuchh raqam buDhe man bap ko
qarz kya parwarish ke utar jaenge
kitni muddat se ghar ko sajate ho tum
sirf do din ko hi bachche ghar jaenge
us ki nazar-e-inayat hai har shaKHs par
din hamare bhi shayad sanwar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.