chhoD kar un ko hamara aasra koi nahin
chhoD kar un ko hamara aasra koi nahin
Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
MORE BYSyed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
chhoḌ kar un ko hamārā aasrā koī nahīñ
mā-sivā un ke sahārā dūsrā koī nahīñ
mamba.a-e-asrār ishq-e-kibriyā koī nahīñ
un se baḌh kar ā.ina-dar-ā.ina koī nahīñ
dar pe pahra hai lagī haiñ qaiñchiyāñ dīvār par
ho bhalā dīdār kaise rāsta koī nahīñ
jhāñk kar khiḌkī se ḳhud parda girā dete haiñ vo
jab ki is manzar se manzar ḳhushnumā koī nahīñ
māh-ruḳh kī zulf se aise banā pur-nūr chāñd
ishq kī duniyā meñ is jaisī ziyā koī nahīñ
gum huā rahtā huuñ un kī yaad meñ har aan maiñ
is se baḌh kar aur ehsās-e-vafā koī nahīñ
merī ḳhvāhish hai sadā phūlo-phalo jān-e-bahār
dil kī dhaḌkan se bhī aage kī duā koī nahīñ
dekhiye maġhrib se niklā hai hamārā āftāb
ham ko hairat ye huī hairat-zada koī nahīñ
merī mayyat qabr tak dushman ke kāñdhe par ga.ī
kā.enāt-e-ishq se aayā gayā koī nahīñ
qabr kī āġhosh meñ jā kar 'falak zāhir huā
monis-o-hamdam amal ke mā-sivā koī nahīñ
chhoD kar un ko hamara aasra koi nahin
ma-siwa un ke sahaara dusra koi nahin
mamba-e-asrar ishq-e-kibriya koi nahin
un se baDh kar aaina-dar-aina koi nahin
dar pe pahra hai lagi hain qainchiyan diwar par
ho bhala didar kaise rasta koi nahin
jhank kar khiDki se KHud parda gira dete hain wo
jab ki is manzar se manzar KHushnuma koi nahin
mah-ruKH ki zulf se aise bana pur-nur chand
ishq ki duniya mein is jaisi ziya koi nahin
gum hua rahta hun un ki yaad mein har aan main
is se baDh kar aur ehsas-e-wafa koi nahin
meri KHwahish hai sada phulo-phalo jaan-e-bahaar
dil ki dhaDkan se bhi aage ki dua koi nahin
dekhiye maghrib se nikla hai hamara aaftab
hum ko hairat ye hui hairat-zada koi nahin
meri mayyat qabr tak dushman ke kandhe par gai
kaenat-e-ishq se aaya gaya koi nahin
qabr ki aaghosh mein ja kar 'falak zahir hua
monis-o-hamdam amal ke ma-siwa koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.