chhoD kar wo hum ko tanha kis jahan mein ja basa
chhoD kar wo hum ko tanha kis jahan mein ja basa
Shahzad Husain Saail
MORE BYShahzad Husain Saail
chhoḌ kar vo ham ko tanhā kis jahāñ meñ jā basā
laakh us ko milnā chāhā par rahā vo nā-rasā
sach hī kahtā thā hameñ vo chhoḌ jab maiñ jā.ūñgā
mujh ko DhūñDā tum karoge har galī meñ jā-ba-jā
tab hameñ dikhlāvā lagtā thā vo māthā chūmnā
aaj jis ke vāste hai dil meñ mere ishtihā
chhoḌ kar jab vo gayā tab saare dushman ho ga.e
phir hameñ rusvā kiyā thā mil ke sab ne nāravā
tere hote to na himmat thī kisī kī kuchh kahe
ba.ad tere sab ke lahje ho ga.e the nāravā
kis tarah TuuTī qayāmat ham se mat ye pūchhnā
ab nahīñ hai sabr baaqī dard kī hai intihā
ai ḳhudā shikva nahīñ 'sā.il' ko terī zaat se
maañ mirī ko baḳhsh de tū tujh se hai bas ye duā
chhoD kar wo hum ko tanha kis jahan mein ja basa
lakh us ko milna chaha par raha wo na-rasa
sach hi kahta tha hamein wo chhoD jab main jaunga
mujh ko DhunDa tum karoge har gali mein ja-ba-ja
tab hamein dikhlawa lagta tha wo matha chumna
aaj jis ke waste hai dil mein mere ishtiha
chhoD kar jab wo gaya tab sare dushman ho gae
phir hamein ruswa kiya tha mil ke sab ne narawa
tere hote to na himmat thi kisi ki kuchh kahe
baad tere sab ke lahje ho gae the narawa
kis tarah TuTi qayamat hum se mat ye puchhna
ab nahin hai sabr baqi dard ki hai intiha
ai KHuda shikwa nahin 'sail' ko teri zat se
man meri ko baKHsh de tu tujh se hai bas ye dua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.