chhoD ke farzanon ki mahfil tanha is diwane ko
chhoḌ ke farzānoñ kī mahfil tanhā is dīvāne ko
hazrat-e-nāseh kyoñ aa jaate haiñ aksar samjhāne ko
kam-zarfoñ ke dar kī ġhulāmī mere bas kī baat nahīñ
aise jiine par maiñ kyoñ tarjīh na duuñ mar jaane ko
maut se jin ko Dar lagtā hai hoñge vo log aur koī
har lamha tayyār haiñ ham tūfāñ se aañkh milāne ko
ye hai masjid vo hai mandir ye hai kalīsā vo gurū-dvār
baañT diyā kitne hisse meñ ham ne ibādat-ḳhāne ko
maut ke Dar se sab ḳhāmosh raheñge ye nā-mumkin hai
koī na koī to uTThegā bātil se Takrāne ko
nafrat aur adāvat kī ta.alīm jahāñ dī jaatī hai
jī kartā hai aag lagā duuñ aise ibādat-ḳhāne ko
azm-e-sādiq le kar jab dariyā meñ koī utregā
ā.eñgī phir maujeñ ḳhud hī kashtī paar lagāne ko
'tābish' bas ye soch ke maiñ ne aag lagā dī kashtī meñ
bhuul ke bhī ab koī na soche lauT ke vāpas jaane ko
chhoD ke farzanon ki mahfil tanha is diwane ko
hazrat-e-naseh kyon aa jate hain aksar samjhane ko
kam-zarfon ke dar ki ghulami mere bas ki baat nahin
aise jine par main kyon tarjih na dun mar jaane ko
maut se jin ko Dar lagta hai honge wo log aur koi
har lamha tayyar hain hum tufan se aankh milane ko
ye hai masjid wo hai mandir ye hai kalisa wo guru-dwar
banT diya kitne hisse mein hum ne ibaadat-KHane ko
maut ke Dar se sab KHamosh rahenge ye na-mumkin hai
koi na koi to uTThega baatil se Takrane ko
nafrat aur adawat ki talim jahan di jati hai
ji karta hai aag laga dun aise ibaadat-KHane ko
azm-e-sadiq le kar jab dariya mein koi utrega
aaengi phir maujen KHud hi kashti par lagane ko
'tabish' bas ye soch ke main ne aag laga di kashti mein
bhul ke bhi ab koi na soche lauT ke wapas jaane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.