chhoD ke rote hue sab ko o jaane wale
chhoḌ ke rote hue sab ko o jaane vaale
yaad karte haiñ tujhe ab bhī zamāne vaale
ab jinheñ dekho vahī dil ko dukhā dete haiñ
yaar milte haiñ kahāñ yaarī nibhāne vaale
pyaar terā mujhe hotā bhī mayassar kaise
pyaar jab de na sake pyaar sikhāne vaale
duur ho kar maiñ bhalā aap se kaise rahtā
aap hī haiñ mujhe dīvāna banāne vaale
dostī ke liye kyoñ khul ke nahīñ kahte haiñ
shoḳh nazroñ se mire dil ko churāne vaale
chhoD ke rote hue sab ko o jaane wale
yaad karte hain tujhe ab bhi zamane wale
ab jinhen dekho wahi dil ko dukha dete hain
yar milte hain kahan yari nibhane wale
pyar tera mujhe hota bhi mayassar kaise
pyar jab de na sake pyar sikhane wale
dur ho kar main bhala aap se kaise rahta
aap hi hain mujhe diwana banane wale
dosti ke liye kyon khul ke nahin kahte hain
shoKH nazron se mere dil ko churane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.