chhoD un ko na jaane kidhar main gaya
chhoḌ un ko na jaane kidhar maiñ gayā
duur tak thā na kuchh jis Dagar maiñ gayā
apne hāthoñ se us ne jo mujh ko chhuā
dekh tujh se ziyāda nikhar maiñ gayā
soch kar bas yahī ab milegā ḳhudā
har galī aur bastī nagar maiñ gayā
dekh kar mere hālāt degī vo ro
milne vāpas agar maañ se ghar maiñ gayā
chhoD un ko na jaane kidhar main gaya
dur tak tha na kuchh jis Dagar main gaya
apne hathon se us ne jo mujh ko chhua
dekh tujh se ziyaada nikhar main gaya
soch kar bas yahi ab milega KHuda
har gali aur basti nagar main gaya
dekh kar mere haalat degi wo ro
milne wapas agar man se ghar main gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.