chhoḌ zanjīr ko duhā.ī de
taaki logoñ ko bhī sunā.ī de
kab kahā thā mujhe ḳhudā.ī de
mere andar se tū dikhā.ī de
khīñch siine se tiir dhaḌkan kā
khīñch le aur mujhe rihā.ī de
terī jānib surāġh jā.egā
jān-e-man itnī mat safā.ī de
maiñ tirī aañkh meñ utar pā.ūñ
is qadar mujh ko bhī rasā.ī de
chhoD zanjir ko duhai de
taki logon ko bhi sunai de
kab kaha tha mujhe KHudai de
mere andar se tu dikhai de
khinch sine se tir dhaDkan ka
khinch le aur mujhe rihai de
teri jaanib suragh jaega
jaan-e-man itni mat safai de
main teri aankh mein utar paun
is qadar mujh ko bhi rasai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.