chhoDa tha apna des ki qadren badal gain
chhoḌā thā apnā des ki qadreñ badal ga.iiñ
pahuñchā jo shahr-e-nau meñ to samteñ badal ga.iiñ
ḳhāna-ḳharāb-hāl se be-kaifiyāñ na pūchh
shāmeñ udaas ho ga.iiñ bazmeñ badal ga.iiñ
kahnā jo koī bichhḌā huā mujh ko pūchh le
us shā.ir-e-jamāl kī fikreñ badal ga.iiñ
ai shahr-e-ḳhāmushāñ mire apne kahāñ ga.e
katbe zamīñ nigal ga.ī qabreñ badal ga.iiñ
ab pyaar meñ vafāoñ kī rasmeñ nahīñ rahīñ
zulfoñ meñ qaid rahne kī sharteñ badal ga.iiñ
āzādiyoñ ke raqs-e-barahna kā daur hai
ajdād the ġhulām vo nasleñ badal ga.iiñ
haañ haañ yahī dayār tirā kū-e-yār hai
'rizvāñ' ye kyā huā tirī nazreñ badal ga.iiñ
chhoDa tha apna des ki qadren badal gain
pahuncha jo shahr-e-nau mein to samten badal gain
KHana-KHarab-haal se be-kaifiyan na puchh
shamen udas ho gain bazmen badal gain
kahna jo koi bichhDa hua mujh ko puchh le
us shair-e-jamal ki fikren badal gain
ai shahr-e-KHamushan mere apne kahan gae
katbe zamin nigal gai qabren badal gain
ab pyar mein wafaon ki rasmen nahin rahin
zulfon mein qaid rahne ki sharten badal gain
aazadiyon ke raqs-e-barahna ka daur hai
ajdad the ghulam wo naslen badal gain
han han yahi dayar tera ku-e-yar hai
'rizwan' ye kya hua teri nazren badal gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.