chhoDiye aap ka is baat se kya lena hai
chhoḌiye aap kā is baat se kyā lenā hai
ik barahman ko musāvāt se kyā lenā hai
ḳhaak ko ḳhaak kā paivand lagegā aur bas
ham ko is arz-o-samāvāt se kyā lenā hai
aap to soch ke aa.e the yahāñ kyā hogā
aap ko yuuñ bhī mazāfāt se kyā lenā hai
aag kī surḳh lipaT ne mujhe pāgal rakkhā
ḳhuun kī lahr ko is ghaat se kyā lenā hai
zaḳhm par haath rakheñ aur ravāna ho leñ
is añdhere meñ munājāt se kyā lenā hai
chhoDiye aap ka is baat se kya lena hai
ek barahman ko musawat se kya lena hai
KHak ko KHak ka paiwand lagega aur bas
hum ko is arz-o-samawat se kya lena hai
aap to soch ke aae the yahan kya hoga
aap ko yun bhi mazafat se kya lena hai
aag ki surKH lipaT ne mujhe pagal rakkha
KHun ki lahr ko is ghat se kya lena hai
zaKHm par hath rakhen aur rawana ho len
is andhere mein munajat se kya lena hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.