chhoDo ab us charagh ka charcha bahut hua
chhoḌo ab us charāġh kā charchā bahut huā
apnā to sab ke hāthoñ ḳhasāra bahut huā
kyā be-sabab kisī se kahīñ uubte haiñ log
bāvar karo ki zikr tumhārā bahut huā
baiThe rahe ki tez bahut thī havā-e-shauq
dasht-e-havas kā garche irāda bahut huā
āḳhir ko uTh ga.e the jo ik baat kah ke ham
sunte haiñ phir usī kā i.aada bahut huā
milne diyā na us se hameñ jis ḳhayāl ne
sochā to is ḳhayāl se sadma bahut huā
achchhā to ab safar ho kisī aur samt meñ
ye roz-o-shab kā jāgnā sonā bahut huā
chhoDo ab us charagh ka charcha bahut hua
apna to sab ke hathon KHasara bahut hua
kya be-sabab kisi se kahin ubte hain log
bawar karo ki zikr tumhaara bahut hua
baiThe rahe ki tez bahut thi hawa-e-shauq
dasht-e-hawas ka garche irada bahut hua
aaKHir ko uTh gae the jo ek baat kah ke hum
sunte hain phir usi ka iada bahut hua
milne diya na us se hamein jis KHayal ne
socha to is KHayal se sadma bahut hua
achchha to ab safar ho kisi aur samt mein
ye roz-o-shab ka jagna sona bahut hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.