chhoDta mujhko na bismil wo magar chhoD diya
chhoḌtā mujh ko na bismil vo magar chhoḌ diyā
sar pe ehsān rahe is liye sar chhoḌ diyā
TukḌe TukḌe kiyā nāseh kā garebāñ maiñ ne
shukr hai us ne mirā dāman-e-tar chhoḌ diyā
kaam sab ḳhāna-ḳharābī ke hue haiñ tujh se
rahm khā kar tujhe ai dīda-e-tar chhoḌ diyā
phir kahāñ thā na yahāñ thā na vahāñ thā vo shoḳh
dāman us kā jo sar-e-rāhguzar chhoḌ diyā
le ga.ī thī tire dīvāne ko ghar se vahshat
nahīñ mā'lūm ki jangal meñ kidhar chhoḌ diyā
'dāġh'-e-vārafta-tabī.at kā Thikāna kyā hai
ḳhāna-barbād ne muddat huī ghar chhoḌ diyā
chhoDta mujh ko na bismil wo magar chhoD diya
sar pe ehsan rahe is liye sar chhoD diya
TukDe TukDe kiya naseh ka gareban main ne
shukr hai us ne mera daman-e-tar chhoD diya
kaam sab KHana-KHarabi ke hue hain tujh se
rahm kha kar tujhe ai dida-e-tar chhoD diya
phir kahan tha na yahan tha na wahan tha wo shoKH
daman us ka jo sar-e-rahguzar chhoD diya
le gai thi tere diwane ko ghar se wahshat
nahin ma'lum ki jangal mein kidhar chhoD diya
'dagh'-e-warafta-tabiat ka Thikana kya hai
KHana-barbaad ne muddat hui ghar chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.