chhoTa sa ek kaam hamara nahin kiya
chhoTā sā ek kaam hamārā nahīñ kiyā
'bāsir' tumhāre yaar ne achchhā nahīñ kiyā
rahtī rahī hai koī na koī kamī zarūr
aisā nahīñ kiyā kabhī vaisā nahīñ kiyā
do chaar baar dekh lo ḳhud jā ke us ke paas
kuchh be-sabab to ham ne kinārā nahīñ kiyā
kahte rahe ho tum use hamdard-o-ġham-gusār
aur us ne baat karnā gavārā nahīñ kiyā
gar thiiñ nigāh meñ mirī kotāhiyāñ to Thiik
aġhyār ne to koī ishāra nahīñ kiyā
hairāñ huuñ log kahte haiñ kyoñ us ko chārāgar
jis ne kisī marīz ko achchhā nahīñ kiyā
din raat ham ko qarz chukāne kī fikr hai
go us ne vāpsī kā taqāzā nahīñ kiyā
hote jo aaj un kī nigāhoñ meñ sarfarāz
ham ne to koī kaam bhī aisā nahīñ kiyā
chhoTa sa ek kaam hamara nahin kiya
'basir' tumhaare yar ne achchha nahin kiya
rahti rahi hai koi na koi kami zarur
aisa nahin kiya kabhi waisa nahin kiya
do chaar bar dekh lo KHud ja ke us ke pas
kuchh be-sabab to hum ne kinara nahin kiya
kahte rahe ho tum use hamdard-o-gham-gusar
aur us ne baat karna gawara nahin kiya
gar thin nigah mein meri kotahiyan to Thik
aghyar ne to koi ishaara nahin kiya
hairan hun log kahte hain kyon us ko chaaragar
jis ne kisi mariz ko achchha nahin kiya
din raat hum ko qarz chukane ki fikr hai
go us ne wapsi ka taqaza nahin kiya
hote jo aaj un ki nigahon mein sarfaraaz
hum ne to koi kaam bhi aisa nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.