chhoTi si baat par tera lahja badal gaya
chhoTī sī baat par tirā lahja badal gayā
tū dekhte hī dekhte kaisā badal gayā
kyoñ iḳhtilāf-e-rā.e ne tahzīb chhīn lī
ye kyā ki guftugū kā qarīna badal gayā
khañDarāt meñ badal gayā har rāsta yahāñ
aur kāġhazoñ meñ shahr kā naqsha badal gayā
kitnī sahūlateñ hameñ hāsil thiiñ qaid meñ
thoḌā sā phaḌphaḌā.e to piñjra badal gayā
jab maiñ kisī ke saath huā us ke rū-barū
mujh se to aa.ine kā ravayya badal gayā
pahle sā aaj kuchh bhī nahīñ hai 'umair' meñ
ab aa.e ho ki jab mirā huliya badal gayā
chhoTi si baat par tera lahja badal gaya
tu dekhte hi dekhte kaisa badal gaya
kyon iKHtilaf-e-rae ne tahzib chhin li
ye kya ki guftugu ka qarina badal gaya
khanDaraat mein badal gaya har rasta yahan
aur kaghazon mein shahr ka naqsha badal gaya
kitni sahulaten hamein hasil thin qaid mein
thoDa sa phaDphaDae to pinjra badal gaya
jab main kisi ke sath hua us ke ru-baru
mujh se to aaine ka rawayya badal gaya
pahle sa aaj kuchh bhi nahin hai 'umair' mein
ab aae ho ki jab mera huliya badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.