chhoTi si ek uDan bhari aur bikhar gaya
chhoTī sī ik uḌaan bharī aur bikhar gayā
chiḌiyā kā boT pañkhe se Takrā ke mar gayā
sarmā kī chāñdnī thī javānī guzar ga.ī
jhulsā rahī hai dhuup buḌhāpā Thahar gayā
tā-sub.h jhilmilā.ī mire āñsūon meñ shab
bujhtā huā charāġh sitāroñ se bhar gayā
panhāriyoñ ne gāgaroñ meñ niir bhar liye
chaḌhtī nadī kā mast bahāv utar gayā
āvāz kī namī thī jo lafzoñ tak aa ga.ī
ik ghūñT āñsūon kā gale meñ Thahar gayā
hairat kī mūrtī banī maiñ dekhtī rahī
vo apne ghar ko chhoḌ ke aage guzar gayā
maiñ raftagāñ kī baat pe be-sāḳhta hañsī
anjām is hañsī kā bhī afsurda-tar gayā
ḳhālī galī meñ saare makāñ sochte rahe
kis samt is ko aanā thā aur kis nagar gayā
ik ham-safar jo mere ḳharābe meñ saath thā
sochoñ meñ jī rahā hai magar dil meñ mar gayā
chunarī talāsh karne meñ kuchh der ho ga.ī
dar par khaḌā huā thā jo ik ḳhvāb mar gayā
chhoTi si ek uDan bhari aur bikhar gaya
chiDiya ka boT pankhe se Takra ke mar gaya
sarma ki chandni thi jawani guzar gai
jhulsa rahi hai dhup buDhapa Thahar gaya
ta-subh jhilmilai mere aansuon mein shab
bujhta hua charagh sitaron se bhar gaya
panhaariyon ne gagaron mein nir bhar liye
chaDhti nadi ka mast bahaw utar gaya
aawaz ki nami thi jo lafzon tak aa gai
ek ghunT aansuon ka gale mein Thahar gaya
hairat ki murti bani main dekhti rahi
wo apne ghar ko chhoD ke aage guzar gaya
main raftagan ki baat pe be-saKHta hansi
anjam is hansi ka bhi afsurda-tar gaya
KHali gali mein sare makan sochte rahe
kis samt is ko aana tha aur kis nagar gaya
ek ham-safar jo mere KHarabe mein sath tha
sochon mein ji raha hai magar dil mein mar gaya
chunari talash karne mein kuchh der ho gai
dar par khaDa hua tha jo ek KHwab mar gaya
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.