chhup chhup ke ab na dekh wafa ke maqam se
chhup chhup ke ab na dekh vafā ke maqām se
guzrā hamārā dard davā ke maqām se
lauT aa.e ham to arz-e-duā ke maqām se
har shai thī past un kī razā ke maqām se
ai mutribān-e-kunj-e-chaman hoshiyār-bāsh
sarsar guzar rahī hai sabā ke maqām se
allāh-re ḳhud-farebī-e-ahl-e-haram ki ab
bande bhī dekhte haiñ ḳhudā ke maqām se
jab dil ne ḳhair-o-shar kī haqīqat ko pā liyā
har jurm thā buland sazā ke maqām se
ai vaa.e 'saif' lazzat-e-nairangī-e-hayāt
mar kar uTheñge bīm-o-rajā ke maqām se
chhup chhup ke ab na dekh wafa ke maqam se
guzra hamara dard dawa ke maqam se
lauT aae hum to arz-e-dua ke maqam se
har shai thi past un ki raza ke maqam se
ai mutriban-e-kunj-e-chaman hoshiyar-bash
sarsar guzar rahi hai saba ke maqam se
allah-re KHud-farebi-e-ahl-e-haram ki ab
bande bhi dekhte hain KHuda ke maqam se
jab dil ne KHair-o-shar ki haqiqat ko pa liya
har jurm tha buland saza ke maqam se
ai wae 'saif' lazzat-e-nairangi-e-hayat
mar kar uThenge bim-o-raja ke maqam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.