chhup-chhup ke tu shad us se mulaqat kare hai
chhup-chhup ke tū 'shād' us se mulāqāt kare hai
nādān vo ik ik se tirī baat kare hai
kuchh mere bigaḌne se chale jaate the atvār
achchhā hai jo tū tark-e-ināyāt kare hai
tū mujh se jo kartā hai vo rahtī hai mujhī tak
jo maiñ karūñ ik ik se to vo baat kare hai
ranjish se to nafrat kī ḳhalīj aur baḌhegī
aa pyaar kareñ pyaar karāmāt kare hai
jo abr bhī uThtā hai kisī vādi-e-ġham se
vo kisht-e-masarrat hī pe barsāt kare hai
DhīTā.ī to is daur meñ panpe phale-phūle
ro-ro ke sharāfat basar auqāt kare hai
detā bhī jo hai 'shād' sila koī vafā kā
to is tarah jaise koī ḳhairāt kare hai
chhup-chhup ke tu 'shad' us se mulaqat kare hai
nadan wo ek ek se teri baat kare hai
kuchh mere bigaDne se chale jate the atwar
achchha hai jo tu tark-e-inayat kare hai
tu mujh se jo karta hai wo rahti hai mujhi tak
jo main karun ek ek se to wo baat kare hai
ranjish se to nafrat ki KHalij aur baDhegi
aa pyar karen pyar karamat kare hai
jo abr bhi uThta hai kisi wadi-e-gham se
wo kisht-e-masarrat hi pe barsat kare hai
DhiTai to is daur mein panpe phale-phule
ro-ro ke sharafat basar auqat kare hai
deta bhi jo hai 'shad' sila koi wafa ka
to is tarah jaise koi KHairaat kare hai
- Book : R oodad-e-Watan (Pg. 219)
- Author : Shaad Bilgavi
- Publication : Shaad Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.