chhup gaya suraj ye kah kar sham se
chhup gayā sūraj ye kah kar shaam se
le sabaq duniyā mire anjām se
ruuh ko ham ne hazāroñ dukh diye
nafs ko rakkhā baḌe ārām se
ek bāzīcha samajh kar ahl-e-dil
khelte haiñ gardish-e-ayyām se
sochiye har zāviye se dahr meñ
kaise guzre zindagī ārām se
kar diyā saaqī ne sāġhar chuur chuur
chhīn kar ik riñd-e-tishna-kām se
kaun dar par rah gayā dam toḌ kar
dekhte to tum utar kar baam se
ho gayā barham nizām-e-maikada
ek āvāz-e-shikast-e-jām se
āḳhirash fart-e-masā.ib par 'jalī'
rote rote so gayā ārām se
chhup gaya suraj ye kah kar sham se
le sabaq duniya mere anjam se
ruh ko hum ne hazaron dukh diye
nafs ko rakkha baDe aaram se
ek bazicha samajh kar ahl-e-dil
khelte hain gardish-e-ayyam se
sochiye har zawiye se dahr mein
kaise guzre zindagi aaram se
kar diya saqi ne saghar chur chur
chhin kar ek rind-e-tishna-kaam se
kaun dar par rah gaya dam toD kar
dekhte to tum utar kar baam se
ho gaya barham nizam-e-maikada
ek aawaz-e-shikast-e-jam se
aaKHirash fart-e-masaib par 'jali'
rote rote so gaya aaram se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.