chhup kar roya ja sakta hai
chhup kar royā jā saktā hai
dil bahlāyā jā saktā hai
ādam-zāde ishq kī rah meñ
kaam bhī aayā jā saktā hai
din ko grahan lag saktā hai
dhuup meñ saaya jā saktā hai
izzat milnā mushkil hai par
naam kamāyā jā saktā hai
namak-harāmī mādda hai jo
ḳhuun meñ paayā jā saktā hai
aañsū paanī hai par is se
shahr jalāyā jā saktā hai
ġhurbat meñ gar bhuuk lage to
patthar khāyā jā saktā hai
pyāse lashkar ke paanī meñ
zahr milāyā jā saktā hai
vaise milnā nā-mumkin hai
ḳhvāb meñ aayā jā saktā hai
is bastī meñ chup rah kar bhī
shor machāyā jā saktā hai
ḳhud se tere chheḌ ke qisse
jī lalchāyā jā saktā hai
tere ek ishāre par bhī
'sahar' manāyā jā saktā hai
chhup kar roya ja sakta hai
dil bahlaya ja sakta hai
aadam-zade ishq ki rah mein
kaam bhi aaya ja sakta hai
din ko grahan lag sakta hai
dhup mein saya ja sakta hai
izzat milna mushkil hai par
nam kamaya ja sakta hai
namak-harami madda hai jo
KHun mein paya ja sakta hai
aansu pani hai par is se
shahr jalaya ja sakta hai
ghurbat mein gar bhuk lage to
patthar khaya ja sakta hai
pyase lashkar ke pani mein
zahr milaya ja sakta hai
waise milna na-mumkin hai
KHwab mein aaya ja sakta hai
is basti mein chup rah kar bhi
shor machaya ja sakta hai
KHud se tere chheD ke qisse
ji lalchaya ja sakta hai
tere ek ishaare par bhi
'sahar' manaya ja sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.