chhup nahin saktin kabhi sine mein baaten raaz ki
chhup nahīñ saktīñ kabhī siine meñ bāteñ raaz kī
ik shikārī sī nazar hai mere tīr-andāz kī
aaj kyoñ ahl-e-qafas se kar diyā mujh ko judā
par katarvāne the maiñ ne is liye parvāz kī
yaad rakhnā sham-e-mahfil ye mirā zauq-e-sujūd
aarzī hai umr tere naaz kī andāz kī
nik.hat-e-āvāra qaa.em tujh se hai bazm-e-chaman
terī ḳhāmoshī sadā hai sāz-e-be-āvāz kī
ham samajh kar bhī na samjhe apne chārāgar kī baat
pyaar thā yā mehrbānī thī nigāh-e-nāz kī
bul-havas nazroñ ko piirī meñ hai itnā hī malāl
uḌ na sakne se jo hālat hotī hai ik baaz kī
ik shuā sī dekhtā huuñ bujh rahī sham.a meñ
hai binā anjām meñ bhī ik na.e āġhāz kī
uḌ gayā jaate hī us se husn kā dilkash nikhār
aa.ine meñ bas ga.ī sūrat tire e.ajāz kī
chhup nahin saktin kabhi sine mein baaten raaz ki
ek shikari si nazar hai mere tir-andaz ki
aaj kyon ahl-e-qafas se kar diya mujh ko juda
par katarwane the main ne is liye parwaz ki
yaad rakhna sham-e-mahfil ye mera zauq-e-sujud
aarzi hai umr tere naz ki andaz ki
nikhat-e-awara qaem tujh se hai bazm-e-chaman
teri KHamoshi sada hai saz-e-be-awaz ki
hum samajh kar bhi na samjhe apne chaaragar ki baat
pyar tha ya mehrbani thi nigah-e-naz ki
bul-hawas nazron ko piri mein hai itna hi malal
uD na sakne se jo haalat hoti hai ek baz ki
ek shua si dekhta hun bujh rahi shama mein
hai bina anjam mein bhi ek nae aaghaz ki
uD gaya jate hi us se husn ka dilkash nikhaar
aaine mein bas gai surat tere eajaz ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.