chhupa chhupa hai manzar kaun
chhupā chhupā hai manzar kaun
kaun hai andar bāhar kaun
lahreñ sī mujh meñ kaisī
pheñk rahā hai patthar kaun
sab apnī apnī dhun meñ
badle mirā muqaddar kaun
kis kī taraf dekhā jaa.e
hai naḳhl-e-bār-āvar kaun
terī nazar meñ ochhe sab
ālī-zarf samundar kaun
kis kī chamak ā.īnoñ meñ
raushan kaun munavvar kaun
paañv tale dhartī kis kī
sar par taane chādar kaun
ab to bahut mushkil hai tamīz
patthar kaun hai aazar kaun
sab apne paikar meñ haiñ
sarv hai kaun sanobar kaun
tū to gale se lagā hai dekh
ghoñp rahā hai ḳhanjar kaun
apnī apnī adākārī
muflis kaun tavangar kaun
ghar bāhar sab ek sā hai
nikle ghar se bāhar kaun
sab kā mehvar koī to hai
gardish meñ be-mehvar kaun
ā.īna merā hai 'vaqār'
lekin is meñ shashdar kaun
chhupa chhupa hai manzar kaun
kaun hai andar bahar kaun
lahren si mujh mein kaisi
phenk raha hai patthar kaun
sab apni apni dhun mein
badle mera muqaddar kaun
kis ki taraf dekha jae
hai naKHl-e-bar-awar kaun
teri nazar mein ochhe sab
aali-zarf samundar kaun
kis ki chamak aainon mein
raushan kaun munawwar kaun
panw tale dharti kis ki
sar par tane chadar kaun
ab to bahut mushkil hai tamiz
patthar kaun hai aazar kaun
sab apne paikar mein hain
sarw hai kaun sanobar kaun
tu to gale se laga hai dekh
ghonp raha hai KHanjar kaun
apni apni adakari
muflis kaun tawangar kaun
ghar bahar sab ek sa hai
nikle ghar se bahar kaun
sab ka mehwar koi to hai
gardish mein be-mehwar kaun
aaina mera hai 'waqar'
lekin is mein shashdar kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.