chhupa kar ishq ki KHushbu ko to rakha nahin jata
chhupā kar 'ishq kī ḳhushbū ko to rakhā nahīñ jaatā
nazar us ko bhī paḌh letī hai jo likkhā nahīñ jaatā
bahut halchal sī hotī hai hamāre ḳhuun meñ yaaro
kisī par zulm ho to ham se vo dekhā nahīñ jaatā
kisī kī bad-du'ā us kī taraqqī rok detī hai
takabbur kā shajar phaltā hai par ūñchā nahīñ jaatā
bahāne nit na.e har din bunā karte ho tum sāhab
hameñ ye saaf hī kah do ki ab aayā nahīñ jaatā
ye shafqat un ke haq meñ na koī dīvār ban jaa.e
bigaḌ jaate haiñ ye bachche agar Tokā nahīñ jaatā
jise chāhā thā puujā thā 'zaman' gahrā.ī se dil kī
hamāre zehn ke goshe se vo chehra nahīñ jaatā
chhupa kar 'ishq ki KHushbu ko to rakha nahin jata
nazar us ko bhi paDh leti hai jo likkha nahin jata
bahut halchal si hoti hai hamare KHun mein yaro
kisi par zulm ho to hum se wo dekha nahin jata
kisi ki bad-du'a us ki taraqqi rok deti hai
takabbur ka shajar phalta hai par uncha nahin jata
bahane nit nae har din buna karte ho tum sahab
hamein ye saf hi kah do ki ab aaya nahin jata
ye shafqat un ke haq mein na koi diwar ban jae
bigaD jate hain ye bachche agar Toka nahin jata
jise chaha tha puja tha 'zaman' gahrai se dil ki
hamare zehn ke goshe se wo chehra nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.