chhupa kar meri nazron se jamal-e-ru-e-taban ko
chhupā kar merī nazroñ se jamāl-e-rū-e-tābāñ ko
sahārā de rahā hai koī mere zauq-e-irfāñ ko
nahīñ jin ko mayassar muskurānā fasl-e-gul meñ bhī
vahī ġhunche badal dete haiñ taqdīr-e-gulistāñ ko
hamīñ har daur meñ hote haiñ memār-e-gulistāñ bhī
hamīñ dete haiñ zīnat bhī dar-o-dīvār-e-zindāñ ko
jidhar dekho udhar vīrāniyāñ haiñ sehn-e-gulshan meñ
nahīñ mālūm ādāb-e-chaman-bandī nigahbāñ ko
junūñ-sāmānī-e-fasl-e-bahārāñ par na harf aa.e
chhupāte phir rahe haiñ har taraf chāk-e-garebāñ ko
sunā hai jab se ye bhī ik amānat hai tire ġham kī
kaleje se lagā.e phir rahā huuñ dāġh-e-hirmāñ ko
manā leñge haram vāloñ ko jā kar phir kabhī 'muslim'
abhī to raam karnā hai butān-e-fitna-sāmāñ ko
chhupa kar meri nazron se jamal-e-ru-e-taban ko
sahaara de raha hai koi mere zauq-e-irfan ko
nahin jin ko mayassar muskurana fasl-e-gul mein bhi
wahi ghunche badal dete hain taqdir-e-gulistan ko
hamin har daur mein hote hain memar-e-gulistan bhi
hamin dete hain zinat bhi dar-o-diwar-e-zindan ko
jidhar dekho udhar viraniyan hain sehn-e-gulshan mein
nahin malum aadab-e-chaman-bandi nigahban ko
junun-samani-e-fasl-e-bahaaran par na harf aae
chhupate phir rahe hain har taraf chaak-e-gareban ko
suna hai jab se ye bhi ek amanat hai tere gham ki
kaleje se lagae phir raha hun dagh-e-hirman ko
mana lenge haram walon ko ja kar phir kabhi 'muslim'
abhi to ram karna hai butan-e-fitna-saman ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.