Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhupa ke rakhiye zara prem patr sa ye badan

Pooran Kumar Hosh

chhupa ke rakhiye zara prem patr sa ye badan

Pooran Kumar Hosh

MORE BYPooran Kumar Hosh

    chhupā ke rakhiye zarā prem patr ye badan

    har ik nigāh kanakhiyoñ se paḌh rahī hai ise

    piyā ke ang laage ye surma.ī āñchal

    uḌe to pakḌe gire to sañbhāltī hai ise

    ye māyā-jāl badan jog hai ki bhog-vilās

    bhaTaktī aatmā sadiyoñ se khojtī hai ise

    ye dil shivāla nahīñ jogiyoñ kuTiyā hai

    sugandh se vo badan basā ga.ī hai ise

    ye lok giit ashlīl ras bharā yauvan

    har ek taan jo uThtī hai chheḌtī hai ise

    ye koī andhī guphā hai ki jism ban hai

    nigāh uñgliyāñ ban kar TaToltī hai ise

    rupahlī raat ye ThanDī havā ye alhaḌ niiñd

    milan aas hiñDole jhulā rahī hai ise

    vo chaap phir vahī siiTī kivāḌ par thap-thap

    uThe to khaaT āvāz roktī hai ise

    kahe to kaise kahe maañ se jhuuT kahnā hai

    ki bachpane sahelī bulā rahī hai ise

    phire hai prem pujārī 'hosh' ban ban meñ

    anuup ruup devī lau lagī hai ise

    chhupa ke rakhiye zara prem patr sa ye badan

    har ek nigah kanakhiyon se paDh rahi hai ise

    piya ke ang sa lage ye surmai aanchal

    uDe to pakDe gire to sanbhaalti hai ise

    ye maya-jal badan jog hai ki bhog-wilas

    bhaTakti aatma sadiyon se khojti hai ise

    ye dil shiwala nahin jogiyon ka kuTiya hai

    sugandh se wo badan ki basa gai hai ise

    ye lok git sa ashlil ras bhara yauwan

    har ek tan jo uThti hai chheDti hai ise

    ye koi andhi gupha hai ki jism ka ban hai

    nigah ungliyan ban kar TaTolti hai ise

    rupahli raat ye ThanDi hawa ye alhaD nind

    milan ki aas hinDole jhula rahi hai ise

    wo chap phir wahi siTi kiwaD par thap-thap

    uThe to khaT ki aawaz rokti hai ise

    kahe to kaise kahe man se jhuT kahna hai

    ki bachpane ki saheli bula rahi hai ise

    phire hai prem pujari sa 'hosh' ban ban mein

    anup rup ki dewi ki lau lagi hai ise

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now