chhupate rahte hain dukh-dard ro nahin pate
chhupāte rahte haiñ dukh-dard ro nahīñ paate
ye vo jahāñ hai jahāñ mard ro nahīñ paate
vo ḳhushk-sālī hai ab ke ki dukh meñ bhī ham log
saroñ meñ Daal to leñ gard ro nahīñ paate
ab is samāj ko nukta ye kaun samjhā.e
rulāne lagte haiñ jo mard ro nahīñ paate
shajar qabīla hai apnā so ham se jo bichhḌe
hare se hote haiñ ham zard ro nahīñ paate
satātī rahtī thī ham ko talab mohabbat kī
vo aag jab se huī sard ro nahīñ paate
baḌhā chaḌhā ke batātā huuñ un ko apnā dukh
maiñ kyā karūñ mire hamdard ro nahīñ paate
mazāq uḌāne kī logoñ ko aisī 'ādat hai
ki mar bhī jaa.e koī fard ro nahīñ paate
chhupate rahte hain dukh-dard ro nahin pate
ye wo jahan hai jahan mard ro nahin pate
wo KHushk-sali hai ab ke ki dukh mein bhi hum log
saron mein Dal to len gard ro nahin pate
ab is samaj ko nukta ye kaun samjhae
rulane lagte hain jo mard ro nahin pate
shajar qabila hai apna so hum se jo bichhDe
hare se hote hain hum zard ro nahin pate
satati rahti thi hum ko talab mohabbat ki
wo aag jab se hui sard ro nahin pate
baDha chaDha ke batata hun un ko apna dukh
main kya karun mere hamdard ro nahin pate
mazaq uDane ki logon ko aisi 'adat hai
ki mar bhi jae koi fard ro nahin pate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.