chhupaun lakh raaz-e-ishq ifsha ho hi jata hai
chhupā.ūñ laakh rāz-e-'ishq ifshā ho hī jaatā hai
mirī āñkhoñ se ik tūfāñ paidā ho hī jaatā hai
hai mujh ko e'tirāf-e-jurm-e-ulfat kyoñ bigaḌte ho
chalo jaane bhī do insāñ se aisā ho hī jaatā hai
mirī dīvāngī par hañsne vaale ye bhī sochā hai
tamāsha dekhne vaalā tamāsha ho hī jaatā hai
chhupaun lakh raaz-e-'ishq ifsha ho hi jata hai
meri aankhon se ek tufan paida ho hi jata hai
hai mujh ko e'tiraf-e-jurm-e-ulfat kyon bigaDte ho
chalo jaane bhi do insan se aisa ho hi jata hai
meri diwangi par hansne wale ye bhi socha hai
tamasha dekhne wala tamasha ho hi jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.